sada-bahaar jo the dard wo purane gae
hamare sath mein mausam bhi sab suhane gae
tujhe KHabar nahin tamir-e-nau ke pagal-pan
chhaten girin to parindon ke aashiyane gae
jahan sarabon ka ek mauj-mauj suraj tha
wahin bhaDakti hui pyas sab bujhane gae
bikharne do kisi aawara yaad ki KHushbu
ki bhul jaane ke bhi ab use zamane gae
us ek naqsh-e-gurezan pe dastaras kaisi
hawa jo ruThi to raston mein hum manane gae
wo KHud bhi TuT gaya lams-e-dida-war se ‘ah’
mizaj phul ka patthar se aazmane gae