pas-e-sahil tamasha kya hai baDh kar dekh lena tha
ki pahle phenk kar dariya mein patthar dekh lena tha
mukammal jism ek parchhain mein Dhal jata hai kaise
tumhein khiDki se apni ye bhi manzar dekh lena tha
zaminon par utarta aasman dekha kabhi tum ne
bulate waqt us ko KHak ka ghar dekh lena tha
khulin aankhen jo baad-az-waqt to ab kya talafi ho
safina dekhne walo samundar dekh lena tha
charagh-e-taq-e-nisyan se na jalte ho na bujhte ho
tumhein ek din hawa se bhi lipaT kar dekh lena tha
liye ek nafa-e-ahu phire ho dar-ba-dar tum ‘ah’
tumhein us ka sarapa apne andar dekh lena tha