mujhe bhi paDh lo ki harf-e-sawab ban jaun
waraq waraq hun kisi din kitab ban jaun
mere baghair bhi kuchh din guzar le ai dost
na itna pi ki main teri sharab ban jaun
baDha na fasle har roz ajnabi ki tarah
na yun bula ki main tujh par azab ban jaun
kiya tha tu ne to raushan charagh kah ke mujhe
ye mera hausla main aaftab ban jaun
kahan ye socha tha ghabra ke jis se nikla hun
phir ek din usi jangal ka KHwab ban jaun
bula rahi hain mujhe dur ki hawaen ‘ah’
ye lag raha hai ki KHana-KHarab ban jaun