mat fikr-e-mudawa kar ai dast-e-masihai
dariyaon se gahri hai is zaKHm ki gahrai
ek manzil-e-hijrat mein jab yaad teri aai
rangon ko chura lai KHushbu ko uDa lai
har chehra paraya hai har aankh mein nafrat hai
jaegi kahan le kar ai sharm-e-shanasai
ye kaisa sawera tha kis dard ka suraj tha
har raushni zulmat ki dahliz pe le aai
jab hijr muqaddar hai milne hi nahin dega
suraj ki to yaktai mein chand ki tanhai
ab tum ko bhi hona hai ojhal meri nazron se
deti hai sada mujh ko wo manzil-e-ruswai