Koi rukne ki tere shahr mein tadbir na thi

koi rukne ki tere shahr mein tadbir na thi

mere hathon mein teri zulf bhi zanjir na thi

dekh kar tum ko sarabon ka tamasha sa raha

KHwab tha ye bhi kisi KHwab ki tabir na thi

so chuka tha kisi masum farishte ki tarah

us ki aankhon mein to qatil ki bhi taswir na thi

regzaron se lagao raha yun hi warna

ret par mere liye koi bhi tahrir na thi

itni qurbat pe wo begana raha kyon mujh se

us ke dil mein koi diwar to tamir na thi

sar qalam hote rahe nam pe chahat ke magar

koi ranjha na tha basti mein koi hir na thi

aaj fankar hai ek miTTi ke Dhele ki tarah

thi to pahle bhi par itni kabhi tahqir na thi