KHizr jis se bane us aab-e-baqa se Dariye

KHizr jis se bane us aab-e-baqa se Dariye

lambi umron se buzurgon ki dua se Dariye

ham-qadam ban gae us ke to Thikana hi nahin

aati jati hui be-samt hawa se Dariye

niyyat-e-jurm hi hai jurm ka aaghaz yahan

jo na ki ho usi na-karda KHata se Dariye

saneha runuma ho jaega shaq hone par

teshe ko rokiye patthar ki ana se Dariye

patta patta yahan baiTha hai sameTe KHud ko

gungunati hui is baad-e-saba se Dariye

aur shai hain to koi Darne ki hajat hi nahin

aap bande hain KHuda ke to KHuda se Dariye

rahmaten zahmaten ban jati hain aksar ai ‘ah’

ho na ye sail-e-bala kali ghaTa se Dariye