Jagna sae mein aur dhup mein sona us ka

jagna sae mein aur dhup mein sona us ka

us ke ehsas se sabit tha na hona us ka

dil-shikasta ho wo kyon sar-phiri baaton se meri

main ne bachpan mein bhi toDa tha khilauna us ka

ek sitam-pesha tabiat ka pata deta hai

kaghazi naw ko barish mein Dubona us ka

phir koi yaad chhuDa leti hai ungli mujh se

yaad aata hai kisi bhiD mein khona us ka

ek hi TuTe hue pul ke the rahi donon

maut se baDh ke tha wo dur se rona us ka

KHud-shanasi ka koi ilm na tha ‘ah’ use

log miTTi mein milate rahe sona us ka