ab na wo ishq na kuchh us ki KHabar baqi hai
hai safar KHatm ek aashob-e-safar baqi hai
koi aaya na gaya barson se in rahon mein
marka kaisa sar-e-rahguzar baqi hai
jalne pata nahin koi diya koi jugnu
taq-e-dil mein gai aandhi ka asar baqi hai
ab bhi kahlata hai wo shaKHs to mahbub-e-nazar
dil dukhane ka abhi us mein hunar baqi hai
aaKHiri shama to lo bujh gai jal kar yaro
is dhuen mein magar imkan-e-sahar baqi hai
sab marahil se guzar bhi liye kab ke hum ‘ah’
habs-e-tanhai mein mar jaane ka Dar baqi hai