Panw phir howenge aur dasht-e-mughilan hoga

panw phir howenge aur dasht-e-mughilan hoga

hath phir howenge aur apna gareban hoga

dil-e-wahshi tu na kar ishq pareshan hoga

misl aaina ke phir shashdar-o-hairan hoga

gar yahi ishq ka aaghaz hai to sun lena

lash howegi meri kucha-e-jaanan hoga

Dub kar marne ka shauq us se hi puchh ai qatil

jis ne dekha ye tera chah-e-zanaKHdan hoga

kahti thi dam mein sayyaad ke ro kar bulbul

ab kabhi hum ko mayassar na gulistan hoga

jitne duniya mein sitam chahe tu kar le mujh par

hashr mein hath mera tera gareban hoga

jaan de baiThega ek roz tu us par ‘agha’

wo nahin haal ka tere kabhi pursan hoga