KHud mazedar tabiat hai to saman kaisa

KHud mazedar tabiat hai to saman kaisa

zaKHm-e-dil aap hain shorish pe namak-dan kaisa

hath wahshat mein na ponchhe to gareban kaisa

KHar-e-sahra se na uljhe to wo daman kaisa

kucha-e-yar ko dawa hai ki jannat main hun

KHuld kahte hain kise rauza-e-rizwan kaisa

usi mabud ka hai dair-o-haram mein jalwa

bahs kis baat ki hai gabr o musalman kaisa

wada-e-baada-e-athar ka bharosa kab tak

chal ke bhaTTi pe piyen jura-e-irfan kaisa

hum hue ‘qais’ hue ‘wamiq’ o ‘farhad’ hue

zulf-e-pur-KHam ne kiya sab ko pareshan kaisa

dur ke Dhol hain yusuf ki kahani sahab

kis ko malum hai hoga mah-e-kanan kaisa

tere qurban main itna to bata de qatil

meri gardan pe chala KHanjar-e-burran kaisa

dil ke aaine mein taswir-e-sanam rakhta hai

nahin malum ki ‘agha’ hai musalman kaisa